Bhulaata laakh hun lekin barabar yaad atay hain
Bhulaata laakh hun lekin barabar yaad atay hain
Ilaahi tarq e ulfat par wo kion kar yaad atay hain !
Bhulaata laakh hun lekin barabar yaad atay hain
Ilaahi tarq e ulfat par wo kion kar yaad atay hain !
Yaad ko pighalnay main dair kitni lagti hai
Khahishoon ko jalnay main dair kitni lagti hai
Aaj us na kah dia door janay sa qabal
Rasta badalnay main dair kitni lagti hai
Zindagi bana lia usko apni rooh ki
Zindagi badalnay main dair kitni lagti hai
Us kay janay sa mujhe agahe hui hai yah
Bastiaan ujarnay main dair kitni lagti hai
Hadsoon na torra hai dostoon na jora hai
Aadmi ko marnay main dair kitni lagti hai
Tum bachana pyar kay is diye ki aanch ko
Aandhion ko chalnay main dair kitni lagti hai
Us kay waday par rahay kuch khabar bhi na rahi
Pyar sa mukarnay main dair kitni lagti hai
Phool kay nikalnay tak rha mera uska saath bas
Phool ko bhikharnay main dair kitni lagti hai
Tairgi muqadar ki jaan hai meri ye warna
Raat ko guzarnay main dair kitni lagti hai
Tere chahat ka sila yaad nahi,
Yaad hai jurm saza yaad nahi,
Torr kar humsafri ka rishta
Wo kaha chhor gaya yaad nahi,
Apne girnay ka sabab yaad hai,
Lakin… kis bulandi se gira yaad nahi,
Yaad hai uska bicharna hum ko,
Phir humain jo b mila yaad nahi..
Yeh kya kam hai key mar janay pe duniya yaad karti hai,
Kesi key ishq main duniya lut’ta kar hum bhi dekhain gaye..
Safar main yaad na aye koi thikana humain,
Gham zamaaney ka mila aesa parra ghabrana humain,
Ameer-e-sheher ne kaghaz ki kashtiyan de ker,
Samandron ke safar per kiya rawaana humain,
Jahan se sath zamaney ko le ke chalna tha,
Waheen pe chorr gayi gardish-e-zamana humain,
Har aik simt kharri hain buland deewarain,
Tamaan sheher nazar aaye qaid’khaana humain,
Salook sab ka dekh ker yeh dheyaan aaya,
Ke kash phir miley dushman wohi purana humain,
Nigaah parrti hai phir kyun paraayi shamon par,
Agar aziz hai Mohsin chiraagh khana humain..
Mohsin Ehsan
Jo koi khawb jala, aap mujh ko yaad aye,
Dhuaan sa dil mein utha, aap mujh ko yad aye,
Sab aayinon mein nazar ayi aap ki surat,
Kisi ko yaad kiya, aap mujh ko yaad aye,
Qaraar-e-jaan ke liye mein kahan kahan na geya,
Jo koi dar na khula, aap mujh ko yaad aye,
Mere baddan mein koi aag si sulag uthi,
Chali jo sard hawaa, aap mujhko yad aye,
Mere badan mein koi aag si sulag uthi,
Chali jo sard hawa, aap mujh ko yad aye,
Kisi zamaney mein rotey they ap mere liye,
Ke jab bhi ghataaa chayi, ap mujh ko yad aye,
Mila to toot ke rota raha, woh rota raha,
Par us kab yeh kaha “aap mujh ko yad aye”,
Kissi ne dil ki kali aaj phir massal daali,
Zara sa zakham mila, aap mujh ko yaad aye,
Kahin pe dekhi jo ik nok-e-haar ki surat,
Mujhe bas itna laga, aap mujh ko yaad aye,
Gumaan-o-weham ki duniya ajeeb hai Wasiq,
Suni koi bhi sadaa, aap mujh ko yaad aye..
Syed Wasiq
Har taraf phaili thi us ki yaad jungle ki tarah,
Main guzar kar ageya hoon urrtey huye baadal ki tarah,
Aik lamhey ko judaa honey de mumkin hi nahin,
Dheyaan rakhti hai mera woh apne aanchal ki tarah,
Muskuraa kar dekhti hai jab woh khirki se kabhi,
Aik khawhish dil main khil jati hai kompal ki tarah,
Choti choti baton per roney ki aadat hai usey,
Aur ankhon mein mujhe rakhti hai kaajal ki tarah,
Jab bhi paani phenkti hai woh shararat mein Hassan,
Jism lagta hai mujhe bheegey huye thall ki tarah..
Hassan Abbasi
Zamaana dost hai sara kis kis ko yad rakho ge,
Khudaa karey ke tumhe mujhse dushmani ho jaye..
Woh hain pass aur yaad aney lage hain,
Mohabbat ke hosh ab thikaney lage hain,
Suna hai humain woh bhulaney lage hain,
To kya hum unhe yaad aney lage hain,
Hattaye they jo raah se doston ki,
Woh pathar mere ghar mein main aney lage hain,
Woh phir mujhe yaad aney lage hain,
Jinhe bhoolne mein zamaney lage hain,
Yeh kehna tha unse mohabbat hai mujh ko,
Yeh kehne mein mujh ko zamaney lage hain,
Qayamaat yaqeenan ab qareeb agayi hai,
Khumaar ab to masjid main jaaney lage hain..
Zindagi ke udaas lamhon mein,
Bewafa dost yaad aate hain..