Dukh dard ki kitaab aur hai
Tera mera hisaab aur hai
Tu kiun khod ko kisi aur sey tashbeh deta hai
Chambeli aur hai, gulaab aur hai
Hum’ein aik dosrey key liye khol key roney bhi na dey ga
Yahan muhabbat mein zamaney ka dastoor aur hai
Mein tum ko bhol jaon ye mat socha karo
Muhabbat aur hai ishq aur hai
Aaj kuch dard dil main hota hai..
Ankh ky sath jgar bhi rota hai
Main jitna bhi ro’oun kam hai teri judai main
Tairy gham ka haq kab ada hota hai
Binai bhi khoon ban kr tapakti rahi hai
Phr bhi ashk’on ko ankh sy gila hota hai
Hansty hansty tery khayal sy ro daity hain
Hum chahty kia hain aur kia hota hai
Suna hai in par mehshar ki dhoop bhi kuch asar nahi karti
Jin ka dil ishq sy jala hota hai
Ye dard bhi hum ko payara hai
Ye dard jo us na daan kia
Ye zakhm bhi bharnay walay thay
Par us na bara ahsaan kia
Phir dard judaai day dala
Nasoor ka ye samaan kia
Phir cheenay meray khuwaab sabhi
Or tukray mera maan kia
Phir soda khuwab gharondon ka
Or us main bara nuksaan kia
Umroon ka bandhan baandh lia
Or lamhoon main anjaan kia
Phir mujh ko hataya aik taraf
Or Rasta youn asaan kia
Wo jo pehlo sey uthey dard kuch esa utha,
Thaam kar dil ko kai bar main betha utha..
Mere chehre se mera dard na pehchan pao ge,
Meri aadat hai har baat pe muskuraa denaa..
Shidat-e-dard ke aalam main bhi chup rehta hoon,
Muskuraaon to tera dard buraa maaaney ga..

Dil Ke Sagar Me Lehre Uthaya Na Karo,
Khwab Bankar Neend Churaya Na Karo,
Bahot Chot Lagti Hai Mere Dil Ko,
Tum Khwabo Mein Aa Kar Yu Tadpaya Na Karo….
Posted in
Bewafa Shayari / poetry at January 28th, 2013.
No Comments.

Teri yaadon ke chiragon ko jalaya har shaam,
Teri baato ko seene Se lagaya har shaam,
Maangi khuda se teri khushi ki duayein,
Tanha baith ke haatho ko uthaaya har shaam..
Posted in
Bewafa Shayari / poetry at January 8th, 2013.
No Comments.
Dard mandon ko kisi ne to pukara hoga,
Bhari zaalim duniya main koi to hamara hoga..
Sulagtey chaand ki tanhayion mein zinda hoon,
Apne dard ki tanhaayiyon mein zinda hoon,
Kisi ki neend main mehkaa hoon khawab ki surat,
Kisi ke jism ki angrrayiyon mein zinda hoon,
Dhannak khayalon ki lafzon ka rehsmi bistar,
Main tere hijar ki raa’nayiyon main zinda hoon,
Yeh log taaza rafaqat mein saans lete hain,
Main apni zaat ki tanhayion mein zinda hoon,
Kashish faraar ki insaan ka muqaddar hai,
Paraaye khawb ki parchaayion mein zinda hoon..
Dr Ibrar Umar