Hum Teri Dhun Main Jia Kartay Thay

Hum Teri Dhun Main Jia Kartay Thay
Man Me Hi Chup Chaap Phira Kartay Thay
Aankhon Main Pyaas Hua Karti Thi
Dil Main Tufan Utha Kartay Thay
Sach Samajhte Thay Teri Muhobbat Ko
Dil Main Kya Phool Khila Kartay Thay
Ghar Ki Dewaar Sajaanay Ki Khaatir
Ham Tera Naam Likha Kartay Thay
Kal Tujhay Daik Kar Yaad Aaya
Ham Bhi Kabhi Muhabbat Kia Kartay Thay


Dasht-E-Tanhai Main

Dasht-E-Tanhai Main
Aye Jan-E-Jahan Larza Hai
Teri Aawaz Ke Saaye
Teray Honton Kay Saraab
Dasht-E-Tanhai Main
Doori Ke Khas-O-Khak Talay
Khil Rahay Hain Tere Pehloo Ke Saman
Aur Gulab
Uth Rahi Hai Kahin Qurbat Se
Teri Sanse Ki Aanch
Apne Khushboo Main Sulagti Houi
Madham Madham
Door Ufaq Paar Chamakti Hoi
Qatra Qatra
Gir Rahi Hai
Teri Dildar Nazar
Ki Shabnam
Dasht-E-Tanhai Main
Aye Jan-E-Jahan Larza Hai
Teri Aawaz Ke Saaye
Tere Hoanton Ke Saraab
Is Qadar Pyar Se
Aye Jan-E-Jahan Rakha Hai
Dil Ke Rukhsar Pe
Is Waqt
Teri Yaad Ne Haath
Yoon Guman Hota Hai
Garche Hai Abhi Subh-E-Firaq
Dhal Bhi Gaya Hijr Ka Din
Aa Bhi Gaee Wasl Ki Raat
Dasht-E-Tanhai Main
Aye Jan-E-Jahan Larza Hai
Tere Aawaz Ke Saaye
Tere Hoanton Ke Saraab


Teri Pal Bhar Ki Juda

Agar Main Had Se Gujar Jau To Mujhe Maaf Kr Dena
Tere Dil Me Utar Jau To Mujhe Maaf Kr Dena
Yuhi Gusse Me Aksar Daat Dena To Aadat Hai Hamari
Daat Ke Tumhe Main Apni Baahon Me Bhar Lu To Mujhe Maaf Kr Dena
Raste Me Tujhe Dekh Tere Deedar Khatir Pal Bhar Jo Thehar Jau To Mujhe Maaf Kr Dena
Apne Jazbaat Se Likha Ye Shokh Tehreeb Tere Naam Kr Jau To Mujhe Maaf Kr Dena
Teri Pal Bhar Ki Judai Mujhe Jeene Nhi Deti Tere Bin Mar Jau To Mujhe Maaf Kr Dena…


Yaad Rahega Mujhe Zindgee Bhar

Yaad Rahega Mujhe Zindgee Bhar.
Yaad Rahega Mujhe Zindgee Bhar.
Woh Pehlee Mulakat Ka Manzar Suhhana.
Woh Duniya Se Chip Ke Milna Milaanaa.
Ek Dusre Ko Dekhte Hi Jana..

Woh Aankho Mein Chamak Ka Bhar Jana.
Woh Pehlee Baar Haatho Ka Chhoona.
Woh Tumhara Shararti Aankhoo Se Muskarana. Read More…


Posted in Yaad Shayari / poetry at April 12th, 2012. No Comments.

Main choti si ik bachi thi

Main choti si ik bachi thi
teri ungli tham kai chalti thi
tu door nazar se hoti thi
main aansoo ansoo roti thi

khabon ka ik roshan basta
tu roz mujhe pehnati thi
Jab darti thi main ratun ko
tu apne sath sulati thi

Maan tu ne kitne barson tak
is phool ko seincha hathon se
Jeevan kai gheray bhedon ko
main samjhi teri batoon se

Mein teree yaad kai takia per
ab bhi rat ko sotee hoon
Maan me choti see ik bachi
teri yad mein ab bhi rooti hoon


Posted in Mother shayari/poetry at April 12th, 2012. No Comments.

Chlo hath ki lakeeren mita ker daikhtay hain!

CkLO Khuwab aankhon main saja ker daikhtay hain,hlo

Chalo hum kisi ko apna bana ker daikhtay hain,

Khoon k rishton se aitabar tou uth gaya,

Chalo be-naam rishtay bana ker daikhtay hain!

Zindagi aasan ho jaye shayed hamari,

Chlo hath ki lakeeren mita ker daikhtay hain! Read More…


Posted in Sad Shayari / poetry at April 11th, 2012. No Comments.

bey-maqsad zindagi!

bey-maqsad zindagi …

mainey jisey naam zindagi ka diya

aaj usney mujhey benaam kardya

mainey jisey chaaha mohabbat ki jiss sey

uskey hi apno ney mujhey Gham ka pe‘mana dya

main jis ki khatir bana kuch ajeeb sa

usney hi meri tanhayi ko raqeeb kardya

main merta kya na karta meri jaana ! Read More…


Posted in Sad Shayari / poetry at April 11th, 2012. No Comments.

KABHI USSAY BHI MERI YAD AATI HOGI…

Kabhi usse bhi meri yaad satati hogi,

Apni aankhon mein mere khawaab sajati hogi,

Wo jo har waqt khayaalon mein basi rehti hai,
Kabhi to meri bhi socho mein kho jaati hogi,

Wo jiski raah mein palkein bichhi rehti hai,
Kabhi mujhe bhi apne paas bulati hogi,

Labon par rehti hai wo har pal hansi bankar,
Tasawar se mere, wo bhi muskuraati hogi, Read More…


Posted in Dard Shayari/poetry at April 11th, 2012. No Comments.

Mere ek ek ansoo ka hisab dena!

Mere ek-ek ansoo ka hisab dena hoga
Aye sangdil tujhko bhi meri tarha rona hoga

Siskiyo main lipti tanha bojhal raate
Har shab tujhko bhi meri tarha tadapna hoga

Mit rahi hai zindagi lamha-lamha teri yaado main
Aye-aarzoo-e-jaan ek din tujhko bhi mitna hoga

Rang layegi meri wafa ek din dekhna tu bhi
Pachtawe ki aag main tujhko bhi jalna hoga

Zulmat-e-shab guzari.. tadapte sitaro ki mehfil me
Lamhe-lamhe ka hisab tujhko bhi sanam dena hoga Read More…


Shikayat nahi hai koi Zindagi se

Yeh sheeshe yeh sapne yeh rishte yeh dhaage
Kisse kya khabar hai kahan toot jayen
Mohabbat ke darya main tinke wafa ke
Na jaane yeh kis morr per doob jayen

Ajab Dil ki basti ajab Dil ki vaadi
Her ek morr mausam nayi Khushiyon ka
Lagaye hain humne bhi sapno ke podde
Magar kya bharosa yahan baarishon ka

Read More…







Page 1 of 3123