Guzr hum ne yun zindagi ki hai..
Guzr hum ne yun zindagi ki hai,
Har qadam hum ne aashiqi ki hai..
Guzr hum ne yun zindagi ki hai,
Har qadam hum ne aashiqi ki hai..
Gar na ho suurat to seerat hi sahi,
Kuch to hona chahiye insaan main..
Guzar na jaye kahin umar ehteyaaton main,
Jo kaam karne hain woh deewana-war* kar daloon..
(deewana-war;like crazies)
Sirf zinda rehne ko zindagi nahin kehte,
Kuch gham-e-mohabbat ho, kuch gham jahaan ka ho..
Zindagi jis ko tera pyaar mila woh jaane,
Hum to nakaam rahe chahne walon ki tarah..
Na afsos hai tujhe sahab na koi sharmindagi hai,
Guzar rahi hai jo gunaahon mein yeh kesi zindagi hai..
Hai koi janaza parhne wala…??
Main apny dil ko maar betha hun…!!
Tujh me bhi kuch adaayain khawhish’mandana aa gayin,
Tujh se bhi bad’gumaan hain aye dil-e-deewana him..
Is tarah loot liya sheer-e-tamanna ne hume,
Zindagi bhi chheen li, or jaan se maara bhi nahi.!!
Najane zindagi badale gi apna rasta kab tak,
Azal se hai nizam e khair o shar k sath wabaste.