Muddat Hui Hai Yaar Ko Mehmaa’n Kiye Huay. .
Muddat hui hai yaar ko mehmaa’n kiye huay
Josh-e-zadah se bazm ko charaghaa’n kiye huay. .!
Muddat hui hai yaar ko mehmaa’n kiye huay
Josh-e-zadah se bazm ko charaghaa’n kiye huay. .!
Muthi’on mein khaak lay kar dost aaye wakt-e-dafan
Zindagi bhar ki muhabbat ka sila dainay lagay. . !
Ye ajnabi si manzilain aur raftaga’n ki yaad
Tanhai’yon ka zeher hai aur hum hain dosto!
Hum fakeeron se dosti kar lo,
Gur sikhaa dain ge badshaahi ke..
Raas kyon dosti kisi ki ayi na humko,
Hum ne har taur se nibhaa kar dekhi..
Doston se iss qadar sadmey uthaaye jaan per,
Dil se dushman ki dushmani ka gilaa jata raha..
Taaza mangain hain fasaaney hum se,
Jab milain hain dost puraaney hum se..
Har gham ko khushi me badalti hai dosti,
Har ansu ko hasi mey badalti hai dosti,
Kuch log samajh nahi patey ke,
Andheri raat ka diya hai dosti..
Heena
Aik doojay ko dair samjha, Dair se yaari ki,
Hum dono ne ek mohabbat, Baari baari ki..
Zamaana dost hai sara kis kis ko yad rakho ge,
Khudaa karey ke tumhe mujhse dushmani ho jaye..